Pages

Wednesday, December 24, 2008

Kia Haseem Sham

kia haseen sham thi kia manzar e bahar tha
kisi k ahd e wafa ka mujh ko intezar tha
sham to guzar gai shab k tare aa gaye
roshni simat gai aur andhere cha gaye
tareekian rah rah k mujh ko samjhane lagi
yun raton ko der tak jaga na kar
apne dil ki sun k kisi k peche yun be sabab bhaga na kar
woh nahin aaye gi yeh soch kar main jane laga
lakin dil ki dharkanon se ek pegham sa aane laga
tujh se milne aaye gi woh nahin hai be wafa
baat aakhir man li main ne dil e khayal ki
apne pairon main main ne zanjeerein dal li
wahm o guman ki kashmakash main dil bhi mubtila raha
waqt aakhir kab ruka waqt to chalta raha
raat k pechle pehar taroon ne mujh se yeh kaha
had ho gai intezar ki ab ghar ko lot ja
dil ko kisi ki baat per yaqeen to aaya nahin
us ne aana hi na tha aur woh aaya nahi
woh nahi aai to main bhi ghar ko chal dia
bharte qadam dekh k mere dil ne yeh kaha
ho gai ho gi koi majbori woh nahi hai be wafa
ek bar phir dosto baat dil ki man li
wada khilafi us ki hum ne ek majbori jan li
kia hua jo woh mujh se milne aaye nahi
yeh jan ne k waste main us k ghar ko chal dia
pohncha jo wahan to wahan manzar ajeeb tha
lawn main bethi thi woh aur bal the khule hue
kisi k hont k saath us k hont bhi the jure hue
khilkhila rahi thi woh kisi ki baat baat per
mar rahi thi apna haath woh us k haath per
sir ko jhatak k main wahan se chal dia
us ki be wafai ne mera dil tar tar kar dia
mere under nafraton ka ek tofan sa bhar dia
phir mili ek mor per main ne pehchana nahi
dil ne cheekh kar kaha yeh wohi hai is k pass jana nahin
us din se laker aaj tak dil khafa sa rehta hai
jab bhi milta hai us ko moqa mujh ko be wafa sa kehta hai

No comments:

Post a Comment

Please Put Your valuable comments for development of this blog Thanks