Raat ki tanhaai mei
Aagosh e aaraam mei jab
Saari duniya so jaati hai
Bistar per let kar mein
Takiye ke saharey
Karwat badaltey huey
Aankhein moond kar
Janey kya kya dekhta rehta hu
Parvaaz per hota hai takhayyul
Kabhi maazi ki naaw per sawaar
Kabhi mustaqbil ki chokhat per
Khada milta hai takhayyul
Ghadi ki soo-ii ke sath
Dhadkaney gintey huey
Ek koney se doosrey koney tak
Bistar naanptey huey
Be-qaraari ke aalam mei
Raat bhar jaagta rehta hu....
Ae neend
Kyu mujh se tum is darja khafa ho
Kyu mujh ko iss darja satati ho....
No comments:
Post a Comment
Please Put Your valuable comments for development of this blog Thanks